Islamic Malumat

(Knowledge)

Introducing Islamic teachings through questions and answers helps establish a strong foundation of faith in children. It allows them to understand the basic principles, beliefs, and practices of Islam from a young age. Children become enthusiastic learners, as they can actively participate, share their thoughts, and have their curiosity satisfied. This active engagement enhances their retention and internalization of Islamic knowledge and are more likely to remember and build upon this knowledge as they grow older, forming a solid understanding of their faith.

Islamic taleemat ko sawalat aur jawabat ke zariye pesh karna bachon mein mustahkam eman ki bunyad qaim karne mein madadgar sabit hota hai. Yeh unhein jawan umar se hi Islam ki bunyadi usool, aqaid aur amliyat ko samajhne ki ijazat deta hai. Bachay purjosh talaba bantay hain, kyunkeh woh mustaqeem taur par hissa lete hain, apni khayalat ka izhaar karte hain aur unki dilchaspi ko poora kiya jata hai. Yeh faal musharikat unki mahfoozi aur tazminat ko badhata hai aur woh badhte hotay hue Islami ilm ko yaad rakhne aur is par mazeed tafmeek karne ke qabil hote hain.

Imaan aur Islam "Faith & Islam"

Q1. Tum Kaun Ho? (Who are you?)

Ham Musalman Hai. (We are Muslims)

Q2. Tumhara Mazhab Kya Hai? (What is your religion?)

Hamara Mazhab Islam Hai. (Our religion is Islam.)

Q3. Islam Kya Sikhata Hai? (What does Islam teach?)

Islam sikhata hai Allah ek hai, wahi ibadat ke layak hai aur Hazrat Muhammad (s.a.w) Allah ke rasool hai. (Islam teaches that Allah is one, worthy of worship, and that Hazrat Muhammad (peace be upon him) is the Messenger of Allah.)

Q4. Islam Ka Kalima Kya Hai? (What is the Kalima of Islam?)

La Ilaha Illallahu Muhammadur Rasoolullah. (There is no god but Allah, Muhammad is the Messenger of Allah.)

Q5. Hum Ko Aur Channd Suraj Zameen Aur Aasman Ko Kisne Paida Kiya? (Who created us, the moon, sun, earth, and the sky?)

Allah Ta'ala ne. (Allah did)

Q6. Puri Kaynat Ko Allah Ne Kaise Paida Kiya? (How did Allah create the entire universe?)

Apni qudrat aur apni hikmat se. (By His power and wisdom.)

Q7. Rozi Kaun Deta Hai? (Who provides sustenance?)

Allah Ta'ala. (Allah did)

Q8. Dua Kaun Sunta Hai? (Who listens to supplications?)

Allah Ta'ala. (Allah did)

Q9. Zindagi Aur Maut Kain Deta Hai? (Who gives life and death?)

Allah Ta'ala (Allah did)

Q10. Humein Apna Sir Kiske Samne Jhukana Chahiye? (Whom should we bow our heads in front of?)

Allah Ta'ala ke samne. (In front of Allah)

Q11. Islam Ke Bunyaadi Aqaeed Kya Hai? (What are the fundamental beliefs of Islam?)

Tauhid, risalat aur aakhirat. (Oneness of Allah, Prophethood and Hereafter)

Q12. Tauhid Ka Kya Matlab Hai? (What does Tauhid mean?)

Allah Ta'ala ko ek maanna. (Believing in the oneness of Allah Ta'ala.)

Q13. Risalat Ka Kya Matlab Hai? (What is the meaning of Risalat?)

Hazrat Muhammad (s.a.w) ko Rasool maanna. (To acknowledge Hazrat Muhammad (peace be upon him) as the Prophet.)

Q14. Aakhirat Ka Kya Matlab Hai? (What is the meaning of Aakhirat "Hereafter"?)

Marne ke baad jo zindagi shuru hoti hai, use aakhirat kehte hai. (The life that begins after death is called the Hereafter or the Afterlife.)

Quran aur Aasmani Kitabein "Quran & Heavenly Books"

Q15. Quran Kya Sikhata Hai? (What does Quran teach us?)

Duniya aur aakhirat ki tamam bhalyee sikhata hai. (It teaches all the goodness of both the world and the Hereafter.)

Q16. Quran Kitni Muddat Mein Nazil Hua? (In how many years was the Quran revealed?)

Quran 23 saal mein naazil hua. (The Quran was revealed over a period of 23 years.)

Q17. Quran Mein Kitne Paare Hai? (How many parts are there in the Quran?)

Quran mein 30 paare hai jise "Juz" kehte hain. (The Quran consists of 30 parts, known as "Juz" in Arabic.)

Q18. Quran Mein Kitni Suratein Hai? (How many chapters are there in the Quran?)

Quran mein 114 suratein hai. (There are 114 chapters in the Quran.)

Q19. Mash'hur Aasmani Kitabe Kitni Hai Aur Kaunsi Hai? (How many famous Islamic book are there and name them?)

Mash'hur aasmani kitabe 4 hai, Taurat, Injeel, Zabur, aur Quran Majid. (There are 4 heavenly books: The Torah "Taurat", The Injeel "Gospel", The Zabur "Psalms" and The Quran "Al-Quran".)

Q20. Yeh Kitabe Kin Nabiyo Par Nazil Hui? (On which prophets were these books revealed?) 

Taurat jo hazrat Musa (Moses) a.s par (The Torah "Taurat": It was revealed to Prophet Musa "Moses" PBUH)

Injeel jo hazrat Isa (Jesus) a.s. par (The Injeel "Gospel": It was revealed to Prophet Isa "Jesus" PBUH)

Zabur jo hazrat Dawood (David) a.s. par (The Zabur "Psalms": It was revealed to Prophet Dawud "David", PBUH)

aur Quran Majid jo hazrat Muhammad (s.a.w) par nazil hui. (and The Quran "Al-Quran": It is the final & most significant book revealed by Allah to Prophet Muhammad "peace be upon him".)

Aqaid aur Islami Buniyad "Beliefs & Islamic Foundations"

Q21. Kya Marne Ke Baad Dobara Zinda Honge? (Will we be alive again after death?)

Haan, marne ke baad dobara zinda honge. (Yes, we will be alive again after death.)

Q22. Qayamat Ka Din Kise Kehte Hai? (What is the Day of Judgment called?) 

Jis din tamaam insaan mar jayenge, yeh zameen, aasmaan aur puri qaynaat tabah ho jayegi, us din ko qayamat ka din kehte hai. (The day when all humans will die, and this Earth, the heavens, and the entire universe will be destroyed, that day is called the Day of Judgment.)

Q23. Farishte Kise Kehte Hai? (What are angels called?)

Allah ke noorani makhlooq ko farishte kehte hai. (The luminous creatures of Allah are called angels.)

Q24. Farishte Kitne Hai? (How many angels are there?)

Be shumaar, unki tadad Allah ke siwa kisi ko malum nahi. (The number of angels is countless, and only Allah knows their exact count.)

Q25. Mashoor Farishte Kitne Hai Aur Unka Naam Kya Hai? (How many famous angels are there and what are their names?)

Mashoor farishte 4 hai. (There are four famous angels.)

Hazrat Jibraeel (a.s) jo Allah ke ehkaam rasoolon tak pahunchate the. (Hazrat Jibraeel (a.s) who conveyed Allah's commands to the messengers.)

Hazrat Mikaeel (a.s) jo baarish barsate hai, hawa chalate hai, aur Allah ke hukum se makhlooq ko rozi pahochate hai. (Hazrat Mikaeel (a.s) who brings rain, controls the wind, and distributes sustenance to creation according to Allah's command.)

Hazrat Izraeel (a.s) ruh qabz karte hai. (Hazrat Izraeel (a.s) who takes the souls at the time of death.)

Hazrat Israfeel (a.s) sur Qayamat ke din phookege. (Hazrat Israfeel (a.s) who will blow the trumpet on the Day of Judgment.)

Q26. Islam Ki Buniyad Kitni Cheezo Par Hai? (On how many pillars is the foundation of Islam based?)

5 cheezo par hai. (On 5 pillars)

 Kalima (Tauheed), Namaaz (Prayers), Roza (Fasting), Zakat (Islamic Tax) aur Hajj (Pilgrimage)

Q27. Raat Din Mein Kul Kitni Namazein Farz Hai Aur Kaun Si Hai? (How many mandatory prayers are there in total throughout the day and night, and which ones?)

5 namazein farz hai. (5 prayers are mandatory)

Fajr, Dhuhr, Asr, Maghrib aur Isha

Q28. Kis Mahine Ke Roze Farz Hai? (Which month's fasting is obligatory?)

Ramadan Ke. (Of Ramadan month)

Q29. Hajj Karne Kaha Jaate Hai? (Where is Hajj performed?)

Makkah mukarrama mein. (In Makkah)

Q30. Zakat Mein Maal Ka Kitna Hissa Nikala Jaata Hai? (How much portion of wealth is given in Zakat?)

Chaliswa hissa "yaani 2.5% fisad". (The portion of wealth given in Zakat is one-fortieth, which is equivalent to 2.5% of the total wealth.)

Nabi aur Huzur (s.a.w) "Prophets & Muhammad (p.b.u.h)"

Q31. Nabi Kise Kehte Hai? (Who is a Prophet?)

Nabi Allah ke nek bande hote hai, jo Allah ka ehkaam bando tak pahonchate hai. (Prophets are righteous servants of Allah who convey His commandments to people.)

Q32. Hamare Nabi (s.a.w) Ka Naam Kya Hai? (What is the name of our Prophet?)

Muhammad (s.a.w). (Prophet Muhammad)

Q33. Hamare Nabi (s.a.w) Kaha Paida Hue? (Where was our Prophet (p.b.u.h) born?)

Hamare nabi (s.a.w) Makkah mukarrama mein paida hue. (Our Prophet Muhammad (p.b.u.h) was born in Makkah, which is located in present-day Saudi Arabia.)

Q34. Hamare Nabi (s.a.w) Kab Paida Hue? (When was our Prophet born?)

12 Rabi'al-Awwal, peer ke din. (12th Rab'al Awwal on Monday)

Q35. Hamare Nabi (s.a.w) Ke Walid Aur Walida Ka Naam Kya Tha? (What was the name of our Prophets Father and Mother?)

Huzur (s.a.w) ke walid ka naam Abdullah tha aur walida ka naam Aminah tha. (The name of our Prophet Muhammad's (p.b.u.h) father was Abdullah, and the name of his mother was Aminah.)

Q36. Hamare Nabi (s.a.w) Ke Walid Aur Walida Kis Khandan Se Talluk Rakhte The? (Which family was our Prophet Muhammad's (p.b.u.h) father and mother related to?)

Hazrat Abdullah ka talluk banu Hashim se aur Hazrat Aminah ka banu Zohra se talluk tha. (Hazrat Abdullah was related to the Banu Hashim clan, and Hazrat Aminah was related to the Banu Zohra clan.)

Q37. Hamare Nabi (s.a.w) Ke Dada Aur Chacha Ka Naam Kya Tha? (What was the name of our Prophets Grandfather and Uncle?)

Huzur (s.a.w) ke dada ka naam Abdul Muttalib tha aur chacha ka naam Abu Talib tha. (The name of our Prophet Muhammad's (p.b.u.h) grandfather was Abdul Muttalib, and the name of his uncle was Abu Talib.)

Q38. Hamare Nabi (s.a.w) Ke Kitne Bete The? (How many sons did our Prophet Muhammad (p.b.u.h) had?)

Teen (Three), Hazrat Qasim, Hazrat Abdullah aur (and) Hazrat Ibrahim.

Q39. Hamare Nabi (s.a.w) Ke Kitne Betiya Thi? (How many daughters did our Prophet Muhammad (p.b.u.h) had?)

Char (Four), Hazrat Zainab, Hazrat Ruqayya, Hazrat Umme Kulsum, Hazrat Fatima

Q40. Hamare Nabi (s.a.w) ki umar kitni thi? (What was the total age of our Prophet (p.b.u.h)?)

63 saal (years).

Q41. Hamare Nabi (s.a.w) Ko Nabuwat Kab Mili Thi? (At what age did our Prophet (s.a.w) received prophethood?)

40 saal ki umar mein. (Our Prophet (s.a.w) received prophethood (nabuwat) at the age of 40.)

Q42. Hamare Nabi Makkah aur Madina mein kitne saal rahe? (How many year did our Prophet (p.b.u.h) lived in Makkah and Madina?)

53 saal Makkah mein aur 10 saal Madina mein. (53 years in Makkah and 10 years in Madina).

Q43. Sab Se Pehle Nabi Kaun The Islam Ke? (Who was the first Prophet in Islam?)

Sab se pehle nabi Hazrat Adam (a.s) the. (The first prophet in Islam was Prophet Adam "p.b.u.h".)

Q44. Jab Kisi Nabi Ka Naam Aaye To Kya Padhna Chahiye? (When the name of a Prophet is mentioned, what should one say?)

Jab kisi Nabi ka naam aaye to "Alaihis Salaam" padhna chahiye. (When a Prophets name is mentioned, one should say Alaihis Salaam).

Q45. Sabse Aakhri Nabi Kaun Hai? (Who is the last Prophet?)

Hazrat Muhammad (s.a.w). (Prophet Muhammad "p.b.u.h".)

Q46. Kya Hamare Nabi Ke Baad Koi Nabi Aayenge? (Will there be another prophet after our Prophet?)

Bilkul nahi. (No).

Q47. Jin Logo Par Nabi Bheje Jaate Hai Un Logo Ko Kya Kehte Hai? (What are the people called upon whom Prophets are sent?)

Un logo ko ummat kehte hai. (The people upon whom Prophets are sent are called "Ummah" or "followers.")

Q48. Hum kis nabi ki ummat hai? (Whose Ummah (community) do we belong to?)

Hum Hazrat Muhammad (s.a.w) ki ummat hai. (We belong to the Ummah (community) of Prophet Muhammad "p.b.u.h".)

Aam Sawalat "General Questions"

Q49. Sahabi Kise Kehte Hai? (What does "Sahabi" mean?)

Jisne imaan ki halat mein huzur (s.a.w) ko dekha aur imaan ki halat mein hi maut aayee ho. (A Sahabi, in English, refers to a companion of the Prophet (s.a.w) who had the privilege of seeing the Prophet (s.a.w) in a state of faith and passed away while still holding onto their faith.)

Q50. Khulafa-e-Rashideen Ke Naam Kya Hai? (What are the names of Khulafa-e-Rashideen "Caliphs"?)

Hazrat Abu Bakar, Hazrat Umar, Hazrat Usman aur (and) Hazrat Ali razi Allah ta'ala anhu (May Allah be pleased with them).